“Shikwa/Jawab-e-Shikwa” Song Info:

TV Show:Coke Studio Pakistan – Season 4
Singer(s):Abu Muhammad, Wajiha Naqvi, Mehr Qadir, Fareed Ayaz, Shahab Hussain
Lyricist(s):Omar Khayyam, Amjad Hyderabadi
Composer(s):Munshi Razi Uddin
Music Director(s):Munshi Razi Uddin
Genre(s):Qawwali

Kyon ziaan kaar banun
Sood framosh rahoon?
Kyon ziaan kaar banun
Sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karun
Mahw-e-ghum-e-dosh rahoon
Fikr-e-farda na karun
Mahw-e-ghum-e-dosh rahoon

Kyon.. Main ziaan kaar banun
Sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karun
Mahw-e-ghum-e-dosh rahoon
Naale bulbul ke sunoon.. Haaye!
Naale bulbul ke sunoon
Aur hama tan gosh rahoon
Hamnawa, main bhi koi gul hoon
Ke khamosh rahoon

Jurrat aamoz!
Jurrat aamoz
Meri taab-e-sukhan hai mujhko
Jurrat aamoz
Meri taab-e-sukhan hai mujhko
Jurrat aamoz
Meri taab-e-sukhan hai mujhko

Courage!
I have the courage to speak up

Shikwa allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa allah se khakam badahan hai mujhko…

Hai baja, hai baja, hai baja, hai baja…
Hai baja
Shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum
Hai baja
Shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum
Qissa-e-dard sunaate hain
Ke majboor hain hum
Qissa-e-dard sunaate hain
Ke majboor hain hum
Saaz-e-khamoosh hain,
Faryaad se ma’moor hain hum
Saaz-e-khamoosh hain,
Faryaad se ma’moor hain hum
Naala aata hai agar lab pe to
Ma’zuur hain hum

Ai khuda shikwa-e
Ai khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
Ai khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
Ai khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le

O god a complaint
O god listen to the complaint of these loyal mortals

Khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le…

A small complaint from your devotee

Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzar
Kahin masjood the patther
Kahin ma’bood shajar
Khugar-e-paikar mahsoos thi insan ki nazar
Maanta phir koi andekhe khuda ko kyonkar?
Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar?

Khuda! Khuda!
Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera
Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera
Tujhko maaloom hai leta tha koi naam tera…

God! God!
Was there anyone who would recite your name

Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!…

It was the strength of muslim that did your work!

Aa.. Quwwat-e-baazo-e
Baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Tau aee awaaz..
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Bol kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Sar ko patakh kar kyun rou raha hai?
Sar ko patakh kar kyun rou raha hai?
Hum nay toh denay ka wada kia hai
Hum nay toh denay ka wada kia hai
Hum nay toh denay ka wada kia hai
Arey aa aa idher aa
Tu pher maang, pher maang
Aa aa idher aa
Tu pher maang, pher maang

Tau aayi awaaz
Sunn!
Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne?
Kya baat hai!
Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne?
Aur, nou-e-insaan ko ghulami se churaya kisne?
Meray ka’abay ko
Aur mere ka’abay ko jabeenon se basaya kisne?
Mere quran ko seenon se lagaya tumne
Haan haan

Haan haan
Thay toh aaba woh tumhare hi
Thay toh aaba woh tumhare hi
Thay toh aaba woh tumhare hi
Magar tum kya ho?
Thay toh aaba woh tumhare hi
Magar tum kya ho?
Thay? … thay!
Thay toh aaba woh tumhare hi
Magar tum kya ho?
Hath par hath dhare muntazir-e-farda ho

Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?

Aur sunn!
Paida…
Paida sikandar ko kisne kia tha
Paida sikandar ko kisne kia tha
Paida sikandar ko kisne kia tha

Dekh!
Haatim ke hathon se kisne diya tha
Haatim ke hathon se kisne diya tha
Arey tu kya samjh kar wapas chala tha
Tu kya samjh kar wapas chala tha
Aur hum nay toh denay ka wada kia tha
Hum nay toh denay ka wada kia tha
Aur mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha

Mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha

Baaz aa, baaz aa
Har unch e hasti baaz aa
Gar kaafir o kabr o but parasti baaz aa
Een dargah e maa, dargah e na umeedeeni
Sadd baar agar tauba shikasti baaz aa
Aray mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha

Aa aa aaa, aaa, aaa
Idher aa tu pher mang pher mang
Aa aa idher aa, aaa
Aray mayoois janay ko kisne kaha tha

Le sunn!
Aqal hai teri sipar
Aqal hai teri sipar ishq hai shamshir teri
Aqal hai teri sipar aur ishq hai shamshir teri
Mere durwaish
Kya baat hai!
Mere durwaish khilafat hai jahangir teri
Ma siwa allah ke liye
Ma siwa allah ke liye aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri
Ma siwa allah
Ma siwa allah ke liye aag hai takbir teri
Allah o akbar!
Ma siwa allah ke liye aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri

Aur sunn!
Ki muhammad se wafa
Sal allah o alaih e wasallam
Ki muhammad se wafa tu ne
Toh hum tere hain
Ki muhammad se wafa tu ne
Toh hum tere hain
Ki muhammad se wafa tu ne
Toh hum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Ki muhammad se wafa tu ne
Toh hum tere hain
Ki muhammad se wafa tu ne
Toh hum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain.

Music Director(s): Munshi Razi Uddin

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here